Sunday, 23 November 2014
281. Manushya ne Gahne (Jewar) pahan ne kab shuru kiye Lagbhag 75,000 saal pahle : Uss samay gahne lakdi, haathi daant aadi ke bane hote the. 7000 saal pahle manushay ne Sone Chandi ki khoj kar lit hi aur uss se gahne banana bhi aarambh kar diya tha 282. Angrej apne naam ke aage Lord kyo lagate hai Lord ek Samnti Yug ka shabd hai jiska arth Swami, Prabhu ya Maalik hota hai. England me ye ek samman ka shabd hai iss liye Angrej apne naam kea age iss shabd ka istemaal karte hai 283. Manushya ne naam rakhna kab shuru kiya Iss ke koi saakshay nahi milte : Parantu sambhwat hi bhasha ke vikaas ke saath hi naam rakhne ka chalan aarambh ho gaya tha 284. Bharat ka naam India kaise pada Prachin kaal me Bharat ko sindu nadi ke paas ke ilaake ke roop me pahchante the aur ve sindhu ko Indus naam se bolte issi shabd se India naam astitv me aaya 285. Duniya ka sabse bada Railway Station kon sa hai Grand Central Terminal (Newyark) : Issme 44 Platefarm aur 67 Track hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment