Sunday 23 November 2014

271. Duniya ka sabse lamba naam kya hai Taumatawhakatangihangakoa : Ye Taumata pahadiyon ka naam hai jo ki 305 meter uchi hai. Ye pahadi Porangahau, New Zealand me sthit hai 272. Aise Shabd jo ulte ya sidhe dono taraf padne se ek hi arth nikalte hai kya kahlate hai Palindrome : Palindromw vo shabd hote hi jo dono taraf se pade ja sakte hai unki spelling me koi fark nahi padta Ex:- Radar 273. Blue whale ke dil ka weight kitna hota hai 600 Kilogram : Whale ka wajan 170 Ton hota hai 274. Gineej Book of World Record ki pustak kya hai Yah ek aisi pustak jo sabse jyada bikti hai iss me saal ke sabhi kirtimano ko darj kiya jata hai 275. Duniya me sabse jyada aasmani bijlee kahan par girti hai Africa ke Kago me : Iss jagah par saal bhar baadal chhaye rahte hai


No comments:

Post a Comment